|
|
|
|
| Wednesday 20 August, 2008 |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
good morning
well aapko ek baar chatting ka chaska lag gya to aassani se hathta nhi hai.Har koi yahan ASL jaan kar gayab ho jata hai.lekin bari hairani hui ki muslim sarey ladkey dubai kai hi hotey hai.becharey apney khwabo ko hakikat mein badalney kai liye chatting ka sahara letey hai.sab ki family ya to aligarh ya lko or ya hydrabad ki hoti hai.well hyderabad per yaad aaya yeh log alag hi tarikey se baat kartey hai.jaisey har kisi ko bhai kaehna .haan inhey bhai banney mein bhi koi aapatti nhi hoti. ek roz to ek hydrabadi merey pichey par gya ki tum ek muslim ho tum yahan se abhi offline ho jao.warna kisi or naam se chatting karo.ajeeb pagal tha woh.haan yaad aaya ek baar koi or hyderabadi tha woh baar baar message kar rha tha kafi der baad meiney dekha usney bahut sarey salam bhejey they.chalo ek baar salam ka jawab bhi de dena chahiye meiney jaisey hi salam ka jawab diya usney poocha tum kahan se ho,meiney bataya dil walo ki dilli se.usney reply kiya .bari aayin dilli ki dil wali,salam ka jawab to deney se rhi banti hai dil wali.bara ajjeeb jawab tha .khair meri toh hastey hsatey halat kharab ho gyi thi us din .well aisey experiences toh hotey rahengey chalein aap logon se phir baat kartey hai.
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|